Ek tukda dhoop mere chappar se chaan mere ghar mein ghus aaya
aasan grahan kiya ek kone mein
nazrein utha mujhe dekh muskuraya
maine poocha “arrey tu yahan kyu aaya...??
aasan grahan kiya ek kone mein
nazrein utha mujhe dekh muskuraya
maine poocha “arrey tu yahan kyu aaya...??
basta tha andhiyara yahan..tumne usse kyu bhagaya?”
bola khel raha tha main andiyare ke sang lukka chhippi ka khel
mujhe toh chhupna tha, har ghar mein thi meri parchhayi..
bola khel raha tha main andiyare ke sang lukka chhippi ka khel
mujhe toh chhupna tha, har ghar mein thi meri parchhayi..
Bas tere hi ghar thi tanhayi....
Fir mere mann mein aaya ek soch
maine poocha “kab jaaoge?”
“rahoonga yahin..... jab tak andiyara mujhe nahi leta hai khoj....”
Fir mere mann mein aaya ek soch
maine poocha “kab jaaoge?”
“rahoonga yahin..... jab tak andiyara mujhe nahi leta hai khoj....”
Maine anmane ho kar kaha” yeh kya zabardasti hai”
dhoop ithlata hua bola” aye isaan teri kya hasti hai
main sooraj ka hoon saathi
uske diye ka hoon baati
roshan karne de tera ghar
le mujhe mutti mein tu bhar
rakh de apne dil ke kisi kone mein
ek din meri bhi zaroorat hogi tujhe
Bawra ho tu khojega mujhe
Mil na paaonga...fir kisi khel mein kho jaoonga
yaad aayegi tumhe meri yeh baat
tere dil mein reh jayegi...raat...kaali andhiyari raat...”

No comments:
Post a Comment