Friday 9 December 2011

Baarish

Aaj fir baras pade the baadal
kabhi umad ke
kabhi ghumad ke
kabhi tez
kabhi halke
Khidki ke seeshe pe girte boondein
achi lag rahi thi
per mere zehen mein nahi utar rahi thi
Tumhari aankhein bhi wahi dekh rahi thi
badalon ne jane yeh kya saazish ki t hi
boondon ki nahi jaise phoolon ki barish ki thi
bheeg jata yeh mann per beech mein woh seeshe ki deewar
Kar rahi thi mere armano pe prahaar
Khule aasma ke neeche
Le aaye tum mera haath kheeche
Jharti boondein mere mann ko seeche
tera haath mein haat dale
har boond se kaha...aa humein bhiga le
mann bhar ke bhigale
moti banke unke maathe ko saja le

No comments:

Post a Comment